The Book of Poems - II
Page II
Apni Ruswai, teray naam ka charcha daikhoon
Eik zara shair kahoon aur mein kaya kaya daikhoon
Neend aa jaye to kaya mehfalain barpa daikhoon
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra daikhoon
Shaam bhi ho gai, dhundla gai aankhain bhi meri
Bhoolnay walay mein kab tak tera rusta daikhoon
Sab zidain uss ki mein poori karoon, har baat sunoon
Aik bachchay ki tarha say usay hansta daikhoon
Mujh pay chha jaye woh barsat ki khushboo ki tarha
Ang ang apna usi rut mein mehakta daikhoon
Tu meri tarha say yakta hae, magar meray habib!
Ji mein aata hae koi aur bhi tujh sa saikhoon
Mein nay jis lamhay ko pooja hae,usay bas eik baar
Khawab ban kar teri aankhon mein utarta daikhoon
Tu mera kuchh nahi lagta hae magar jaan-e-hayat
Janey kiyon tairey liye dil ko dharakta daikhoon
TU MERA KUCHH NAHI LAGTA HAE MAGAR JAAN-E-HAYAT
- Parveen Shakir