The Book of Poems - II
Page III
Khalish
Ajeeb tarz-e-mulaqaat ab kay bar rahi
Tumhi thay badlay huvay ya meri nigahein thein
Tumhari nazron say lagta tha jaisay meri bajaye
Tumhare ghar mein koi aur shakhs aya hae
Tumharay ohday ki dainay tumhein mubarak
So tum nay mera sawagat usi tarha say kiya
Jo afsaraan-e-hakoomat kay aticait mein hae!
Takalufun mairay nazdeek aa kay bhaith gae
Phir ehtamam say mosam ka zikr chhair diya
Kuchh uss kay baad sayasat ki baat bhi nikli
Adab par bhee koi dau char tabsray farmaye
Magar na tum nay hamaisha ki tarha yae poochha
Kay waqt kaisa guzrta hae tera, jaan-e-hayat!
Pahaar din ki aziyat mein kitni shiddat hae
Ujaar raat ki tanhai kaya qayamat hae!
Shabon ki sust ravi ki tujhay bhi shikwa hae?
Gham-e-firaq kay qisay, nishat-e-wasl ka zikr
Rawayatun hi sahi, koi baat tho kartay
- Parveen Shakir