My Diary

Page VI


               Kuch boondeN bheegi bheegi si
 
    KyoN itni dhuli dhuli si lag rahi haiN ye boondeN
    pehli barish ki ye bheegi bheegi si kori boondeN
 
    PalkoN se girkar gaaloN pe sookh jaati haiN
    in aasuoN ki ye dhuNdli si namkiN boondeN
 
    Apne hothoN pe tere labo ka wo ehsaas
    sookhe patte pe jaise os ki kamsin boondeN
 
    Tere badan se jo liptiN to aur shokh lagiN
    meri nazroN meiN utarti, ladkhadati boondeN
 
    Tere badan ko bhigoti hui phirti aazaad
    soye se kuch mere jazbaat jagati boondeN
 
    Tere gaaloN ko choom kar ithlati hui
    kitni maghroor hui jaati haiN masoom boondeN
     
    BaadloN se shor machati hui aati haiN ye magar
    choo kar yuN tujhko khaamoosh hui jaati haiN alhad boondeN
    
    Tere husn ko ye aur lajawab karti haiN
    kabhi lagti haiN ye shola kabhi shabnam boondeN
 
    Tere maathe pe ye ek noor si chamakti haiN
    aa, ke palkoN se utha looN maiN ye mooti boondeN
 
    Tere baloN ko bhigokar itra rahi haiN is tarah
    tere gesuoN se girkar haiN udaas bikharti boondeN
 
    Chain se raat bhar mujhko soone nahiN detiN
    haye! kis tarah se mujhko satati haiN ye shaitaN boondeN
 
    Ji to chahta hai tujhe bahoN meiN bhar looN maiN
    par hamare beech maiN deewar haiN ye zalim boondeN
 
    Sambhaal dil mera beqabu hua jaata hai
    kar dengi mujhko to pagal, haye ye boondeN
 
    Paani meiN jaise leti ho angdayiyaN jawani ki
    kaun si bala haiN jane kaun si haiN aafat boondeN

    Sawan ke is mausam meiN khil utha tera mehka badan
    dekh kis tarah se haiN teri khushbu lutati boondeN
 
    Teri saasoN ki meheK fiza meiN bikhrati hui
    teri jawani ke sawan meiN nahati boondeN
 
    Maan bhi le mera kehna tu ab inkaar na kar
    phir agle sawan meiN layeN na ye masti boondeN

                                      - Kashif





Back to Literature

Visit my Home


(Under construction!)