The Book of Poems - II

Page IV

                         Rafaqat

  Kamal-E-zabt ko khud bhee tau aazmaoon gi
  Mein apne hath se us ki dulhan sajaoon gi

  Sapurd ker ke usey chandni ke hathon
  Mein apne ghar ke andairon ko laut ayoon gi

  Badan ke karb ko woh bhee samajh na paye ga
  Mein dil mein ro'oon gi, aankhon mein muskaroon gi

  Woh kaya gaya ke rafaqat ke sare lutf gae
  Mein kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi

  Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin
  Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi

  Bichha diya tha gulabon ke sath apna wajood
  Woh so ke uthey tau khawabon ki rakh uthaoon gi

  Kawaj dhoond raha tha nayi muhabbat ka
  Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi

                               - Parveen Shakir





Back to Literature

Visit my Home