The Book of Poems - III

Page I

                         

  "Jub Teray Shehar Say Guzarta houN"
  
  Kiss tarah rokta houN ashkoN ko
  Kiss taraf dil pay jabar karta houN
  Aaj bhee kaarzaar-e-hustee maiN
  Jub teray shehar say guzarta houN
  
  Iss qadar bhee nahiN mujhe ma'aloom
  Kiss mohallay maiN hay makaN tera
  Kaun see shaakh-e-gull pay raqsaN hay
  Rashk-e-firdaus, AasheeyaN tera
  Jaane kin vaadeeoN maiN tehra hay
  Gherat-e-husun, kaarvaaN tera
  Kiss say poochouN ga maiN khabar teree
  KaouN batla-ay ga nishaaN tera
  Teree rusvaayoN say darta houN
  
  Jub teray shehar say guzarta houN
  
  Hall-e-dil bhee na keh saka gar-cheh
  Too rahee mudatoN qareeb meray
  Kuch teree azmatoN ka dar bhee tha
  Kuch khialaat thay ajeeb mairay
  Aakhir-e-kaar voh gaRhee Aa'yee
  Baar-e-dar hoe ga'ay raqeeb maray
  Too mujhe choR kar chalee bhee ga'yee
  Kher! qismat mereey, naseeb meray
  ab maiN kyoN tujh say pyar karta houN

  Jub teray shehar say guzarta houN

  Go zamana teree mohabat ka
  Aik bhoolee houee kahanee hay
  Teray koochay maiN umar bhar na ga'ay
  Saaree dunya key khaak chaanee hay
  Lazzat-e-qurb ho ke zakham-e-firaaq
  Jo bhee hay teree meharbani hay
  Kiss tamanna say tujh ko chaaha thaa
  Kiss mohabat say haar mani hay
  Apnee qismat pa naaz karta houN

  Jub teray shehar say guzarta houN

			-Saif ud din Saif






Back to Literature

Visit my Home