The Book of Poems - III

Page I

                         

                 Tanhayee

  Phir koee aya dil zaar, nahiN koyee nahiN
  Rah-raw hoga, kahiN aur chala jaa-ae ga

  Dhal chukee raat, bikhar-nay laga taroN ka ghobaar
  laRkhaRanay lagay aivanoN maiN khabeeda charaagh

  Soga-ye raata tak tak kay her aik rah-guzar
  Ajnabee khaak naiN dhundlad-ye QadmoN kay suragh

  Gull karo ShamaiN, baRhaadoe maiN o meena o Ayagh
  Apnay bay-khawab kivaRoN ko muqaffal kar lo

  Ab yahaN koyee nahiN, koyee nahiN Aay ga!

		              -Faiz Ahmad Faiz






Back to Literature

Visit my Home