The Book of Poems - III

Page I

                         

      		    Ghalib

  Ye na thee hamaree qismat ke visaal-e-yaar hota
  Agar aur jeetay rehtay, yehee intezaar hota

  Tere waaday par jeyay toe ye jaan jhoot jana
  Ke khoshee say mar na jaatay agar aitebar hota

  Rug-e-sung say tapakta woe lahoo ke pher na thumta
  jesay ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota

  KahooN kiss say maiN ke kya hay shub-e-ghum buree bala hay
  Mujhay kya bura tha marna, agar aik bar hota

  Huyay mar ke hum joe rusva, huyuy kyuN na gharq-e-darya
  Na kaheeN janaza Uthta, na kaheeN mazaar hota

  Ye masaal-e-tasavuf, ye tera byaan-e-ghalib
  tuj-hay hum valee samajh-tay, joe na baada khawar hota






Back to Literature

Visit my Home