The Book of Poems - II

Page XII

                         
 Bahut dino ki baat hai
 fiza ko yaad bhi nahin,
 ye baat aaj ki nahin
 bahut dino ki baat hai
 shabab par bahar thi, fiza bhi khush-gawar thi
 na jaane kyon machal pada, main apne ghar se chal pada
 kisi ne mujhko rok-kar, badi ada se tok-kar
 kaha tha laut aayiye, meri qasam na jaayiye, naa jaayiye...
 par mujhe khabar na thi, mahaul par nazar na thi
 na jaane kyon machal pada, main apne ghar se chal pada,
                                      main chal pada...

 Main shehar se phir a gaya, khayal tha ki pa gaya
 wo yun to mujh se door thi, magar meri zaroor thi
 aur ek haseen shaam ko, main chal pada salam ko
 gali ka rang dekh kar, nayi tarang dekh kar
 mujhe badi khushee huyi, khushee huyi...
 main kuch usi khushee mein tha, kisi ne jhank kar kaha
 paraye ghar se jaayiye, meri qasam na aayiye,
                                meri qasam na aayiye...

 Wahi haseen sham hai, bahar jiska naam hai
 chala hoon ghar ko chor kar, na jaane jaaunga kidhar
 koi nahin jo rok-kar, koi nahin jo tok-kar
 kahe ki laut aayiye, meri qasam na jaayiye,
                             meri qasam na jaayiye...






Back to Literature

Visit my Home